They don't write qawwalis like that anymore. This one is from Mughal-e-Azam. Wah wah!
Teri mehifl mein kismat aazma kar hum bhi dekhenge,
Ghadi bhar ko tere nazdik aakar hum bhi dekhenge
Teri mehifl mein kismat azma kar hum bhi dekhenge,
Tera kadmo pe sar apna jhuka kar hum bhi dekhenge
Baharein aaj paigam-e-mohbbat leke aayi hai,
Badi muddat mein ummeedon ki kaliyan muskarayi hain
Gham-e-dil se zara daman bachakar hum bhi dekhenge
Agar dil gham se khaali ho to jeene ka mazaa kya hai,
Na ho khoon-e-jigar to ashq peene ka mazaa kya hai
Mohbbat mein zara aansoo beha kar hum bhi dekhenge
Teri mehfil mein……
Mohabbat karne walon ka itna hi afsana ,
Tadpna chupke chupke, aah bharna, ghutke mar jaana
Kisi din ye tamasha muskara ke hum bhi dekhenge
Teri mehfil mein……
Mohabbat humne mana zindagi barbad karti hai,
Ye kya kam hai ke mar jaane pe duniya yaad karti hai
Kisi ke ishq mein duniya lutakar hum bhi dekhenge

Teri mehifl mein kismat aazma kar hum bhi dekhenge....

No comments:
Post a Comment