Not only is it dilli ki sardi that knocks the daylights out of you, it's also the infamous dilli ka auto wala (referred to as AW). When in Delhi, without a car at your disposal, expect to meet one or all of these.
Specimen 1: Uh No!
Me - Auto khali hai bhaiya?
AW - Haan
Me - Rajouri Garden chalenge?
AW - Nahi
Specimen 2: Not Really
Me - Auto khali hai bhaiya?
AW - Haan
Me - Rajouri Garden chalenge?
AW - Rajouri mein kahan?
Me - Central Market ke paas..
AW - Nahi
Specimen 3: Map to My House
Me - Auto khali hai bhaiya?
AW - Haan
Me - Rajouri Garden chalenge?
AW - Rajouri mein kahan?
Me - Central Market ke paas..
AW - Ye kidhar padega
Me - (More route explantions)
AW - Nahi
Specimen 4: Great Expectations
Me - Rajouri Garden chalenge bhaiya?
AW - Haan
Me - Kitne paise
AW - Sau rupye
Me - Akele chale jaao
Specimen 5: My Way or the Highway!
Me - Rajouri Garden chalenge bhaiya?
AW - Haan
Me - Kitne paise
AW - Assi rupye
Me - 60 lagte hain bhaiya
AW - Chalo 75 de dena
Me - Meter se chalo
AW - Meter kharab hai madam
Specimen 6: Main Bus Banna Chahta Hu
Me - Rajouri Garden chalenge bhaiya?
AW - Nahi, vahan main nahi jaata
Me - Agar koi fixed route hai to bus ki tarah likhte kyun nahi ho bahar?
Specimen 7: Nocturnal Vibe
Me - Rajouri Garden chalenge bhaiya?
AW - Haan
Me - Kitne paise
AW - Do sau
Me - KYA?
AW - Bahut raat ho gayi hai
Me - Abhi 7 baje hain!
Auto - Nahi madam, do sau se kam nahi
Me - To abhi hi ghar chale jao, der karoge to sher aa jayega
Specimen 8: Detour!
Me - Rajouri Garden chalenge bhaiya?
AW - Nahi, Dhaula Kuan jaa sakta hu vahan mujhe kaam hai, aap vahan se doosra le lena.
Me - Uhh!
Specimen 9: Terms and Conditions
Me - Rajouri Garden chalenge bhaiya?
AW - Haanji chalenge. Baitho.
Me - Kitne paise?
AW - Pachaas rupye.
Me - Thik hai.
AW - Lekin main bidi piyunga raste mein, aur CNG bhi bharvwani hai.
Specimen 10: The Analyst
Me - Rajouri chalna hai?
AW - Mujhe rasta nahi pata
Me - Mujhe pata hai
AW - Kitna dete ho
Me - 50 rupye
AW - Ye to kam hai bada
Me - Aapko rasta pata hai kya.. Meter chalao
AW - Meter to purana wala laga hua hai
Me - !
Thursday, 24 January 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
3 comments:
lol..hilarious..dont tell me all this happened on the same day. did u get to rajouri finally?
panjak
Hahahaa this is one post where I actually did laugh. Good work Hansa finally you too have hopped on to the conversation bandwagon.
Nicely done Kudos
very funny !
Post a Comment